tamām  ḳhaliyoñ  meñ  aksar  sunā.ī  detā  hai
har  ik  jahān  meñ  mahshar  sunā.ī  detā  hai
jo  chhū  ke  dekhūñ  to  gardish  kī  tah  meñ  gardish  hai
dharūñ  jo  kaan  to  mahvar  sunā.ī  detā  hai
hazār  mīloñ  bichhī  irtiqā  kī  miTTī  par
badan  meñ  ab  bhī  samundar  sunā.ī  detā  hai
lachaktī  raat  meñ  sayyārgāñ  kī  chaap  suno
jo  mujh  meñ  jazb  hai  bāhar  sunā.ī  detā  hai
zamīn  phail  ga.ī  hai  hamārī  ruuh  talak
jahāñ  kā  shor  ab  andar  sunā.ī  detā  hai
zabāñ  ke  ġhaar  se  pahuñche  sukūt  tak  to  ab
ajiib  lahjoñ  meñ  manzar  sunā.ī  detā  hai
tamaddunoñ  ke  har  āhañg  kā  tazād  'riyāz'
jo  duur  jā.ūñ  to  behtar  sunā.ī  detā  hai