sab  ḳhalāoñ  ko  ḳhalāoñ  se  bhigo  saktā  hai
aadmī  ruuh  ke  andar  bhī  to  ro  saktā  hai
ye  siyāhī  kā  sirā  jaane  kahāñ  haath  aa.e
mirā  saayā  tirā  bātin  bhī  to  ho  saktā  hai
dastaras  tere  samundar  kī  hai  tujh  se  bhī  pare
tū  mujhe  aañkh  se  bāhar  bhī  Dubo  saktā  hai
le  to  aayā  hai  mujhe  maut  kī  gardish  se  alag
tū  mujhe  saañs  ke  mahvar  pe  bhī  kho  saktā  hai
apne  anfās  kī  tahrīk  pe  bikhrā  hai  magar
tū  mere  lams  meñ  yakjā  bhī  to  ho  saktā  hai
terī  miTTī  ne  samoyā  nahīñ  to  kyā  hai  'riyāz'
tū  to  is  jism  ke  bāhar  kahīñ  so  saktā  hai