ḳhudā-numā  hai  but-e-sañg-e-āstāna-e-ishq
chalūñgā  pā-e-nigah  ban  ke  sū-e-ḳhāna-e-ishq
na  kam  hoñ  sikka-e-dāġh-e-dil-e-yagāna-e-ishq
bharā  paḌā  rahe  yārab  sadā  ḳhazāna-e-ishq
jabīn-e-qais  banī  sañg-e-āstāna-e-ishq
junūñ  hai  ḳhema-e-lailā  siyāh-ḳhāna-e-ishq
mudām  dil  meñ  rahe  dāġh-e-ulfat-e-sāqī
na  be-charāġh  ho  yārab  sharāb-ḳhāna-e-ishq
ye  mahfil-e-tarab-e-husn  hai  nahīñ  maqtal
sadā  gulū-e-burīda  kī  hai  tarāna-e-ishq
ye  kah  ke  phirtī  hai  din  raat  āsiyā-e-falak
mile  to  ḳhirman-e-mah  de  ke  luuñ  maiñ  dāna-e-ishq
hai  āftāb  piyāla  farishta-ḳhū  saaqī
ḳham-e-falak  hai  subū-e-sharāb-ḳhāna-e-ishq
bas  ek  haath  meñ  do  ho  ke  maiñ  zamīñ  pe  girā
qazā  jo  aa.ī  adā  ho  gayā  dogāna-e-ishq
har  ek  gaam  pe  dil  pīstā  hai  ablaq-e-chashm
magar  hai  surme  kā  dumbāla  tāziyāna-e-ishq
jalāyā  tuur  ko  ik  dam  meñ  sā.iqa  ban  kar
sharar-fishāñ  jo  huā  sañg-e-āstāna-e-ishq
ho  ḳhāna-e-sadaf-e-dil  na  kis  tarah  pur-nūr
ki  aap  hai  guhar-e-shab-charāġh  dāna-e-ishq
buto  ḳhudā  ne  kahā  fis-samā-e-rizqokum  aap
milā  hai  mujh  ko  ye  haft  āsiyā  se  dāna-e-ishq
ye  sach  masal  hai  buto  sab  kā  hai  ḳhudā  razzāq
nasīb-e-tā.ir-e-dil  hai  azal  se  dāna-e-ishq
jo  ḳhaal  ban  ke  ḳhat-e-ruḳh  meñ  dil  rahe  merā
kahūñ  maiñ  ḳhirman-e-mah  meñ  milā  ye  dāna-e-ishq
kisī  ke  abrū-e-pur-ḳham  kā  dhyān  rahtā  hai
hamārā  ka.aba-e-dil  hai  siyāh-ḳhāna-e-ishq
sadā-e-mātam-e-dil  sun  ke  ḳhush  vo  hote  haiñ
navā-e-sīna-zanī  hai  ki  shādiyāna-e-ishq
jo  shauq-e-dīd  hai  muusā  kī  tarah  ek  na  sun
ki  lantarānī-e-ishq  hai  tarāna-e-ishq
naqāb  udhar  vo  uThā.eñ  idhar  maiñ  aah  karūñ
samand-e-husn  pe  paḌ  jaa.e  tāziyāna-e-ishq
jo  toliye  ise  kaunain  kī  tarāzū  meñ
garāñ  ho  vazn  meñ  na  āsiyā  se  dāna-e-ishq
faroġh-e-bazm-e-tasavvur  hai  yaad  pistāñ  kī
habāb-e-husn  bane  haiñ  charāġh-e-ḳhāna-e-ishq
ḳhayāl-e-gauhar-e-dandāñ  meñ  ham  jo  rote  haiñ
sarishk-e-dīda-e-tar  hai  dur-e-yagāna-e-ishq
hai  mere  dil  kī  tarah  is  se  ye  pareshāñ-hāl
milā  hai  zulf  ko  husn-e-siyāh-ḳhāna-e-ishq
chaḌhā  jo  daar  pe  āshiq  kā  sar  huā  sardār
judā  hai  ḳhāna-e-ālam  se  kārḳhāna-e-ishq
ḳhudā  kā  ghar  ho  jo  TuuTe  jihād-e-nafs  se  dil
ḳharāb  ho  to  bane  lā-makāñ  ye  ḳhāna-e-ishq
vo  dil  lagā  ke  suneñ  dāstān  kī  sūrat
bayān  kījiye  us  husn  se  fasāna-e-ishq
'vazīr'  tuḳhm-e-mohabbat  ko  dil  meñ  bo  apne
zamīñ  vo  shor  hai  jis  meñ  uge  na  dāna-e-ishq