ḳhalā  kī  ruuh  kis  liye  ho  mere  iḳhtiyār  meñ
uḌaan  kā  to  zikr  tak  na  thā  mire  farār  meñ
kabhī  to  manzaroñ  ke  is  tilism  se  ubhar  sakūñ
khaḌā  huuñ  dil  kī  sat.h  par  ḳhud  apne  intizār  meñ
ye  sā.atoñ  kī  bhiiḌ  ne  use  gañvā  diyā  na  ho
rakhā  thā  maiñ  ne  ek  lams  vaqt  kī  darār  meñ
safar  meñ  marhaloñ  kī  rasm  bhī  hai  ab  bujhī  bujhī
vahī  purānī  gard  hai  har  ik  na.e  ġhubār  meñ
abad  kī  sarhadoñ  ke  paar  bhī  hadoñ  kā  shor  thā
thī  paikaroñ  kī  dāstāñ  ḳhalā  ke  shāhkār  meñ
ye  jism  kyuuñ  ye  ruuh  kyuuñ  hayāt  kyuuñ  'riyāz'  kyuuñ
sifar  sifar  kī  guuñj  hai  talāsh  ke  mazār  meñ