hadoñ  ke  na  hone  kī  zillat  se  haare  hue
abad  ke  mujassam  kināre  hamāre  hue
nafas  ke  dayāroñ  meñ  gholā  thā  ik  lams  hī
nikal  aa.e  saare  falak  se  utāre  hue
ab  apnī  nafī  meñ  zarā  ġhota-zan  ho  hī  leñ
ki  sadiyāñ  huiiñ  ḳhud  ko  ḳhud  se  ubhāre  hue
parā.ī  siyāhī  kī  āġhosh  meñ  kyā  mile
jo  ḳhud  dil  kī  zad  par  jale  vo  sitāre  hue
ḳhudā  kī  ḳhamoshī  meñ  shāyad  ho  us  kā  vajūd
zamāna  huā  naam  apnā  pukāre  hue
adhūre  jahānoñ  ke  tevar  adhūre  'riyāz'
ye  sab  merī  takmīl  ke  isti.āre  hue