ek  aalam  ne  jubba-sā.ī  kī
ai  buto  tum  ne  bhī  ḳhudā.ī  kī
āshiqoñ  ke  lahū  kī  pyāsī  haiñ
machhliyāñ  us  kaf-e-hinā.ī  kī
zulf-e-pur-pech  se  jo  dil  uljhā
biich  meñ  raḳh  paḌā  safā.ī  kī
murġh-e-be-bāl-o-par  huuñ  ai  sayyād
aarzū  hai  kisī  rihā.ī  kī
ai  junūñ  dasht  ko  chaleñge  ham
hai  qasam  is  barahna-pā.ī  kī
sar  judā  ham  ne  apnā  kar  Daalā
aa.ī  jab  guftugū  judā.ī  kī
phir  gayā  yaar  ghar  ke  paas  aa  kar
baḳht-e-bargashta  ne  burā.ī  kī
saikḌoñ  jaame  tujh  pe  phaTte  haiñ
dhuum  hai  terī  mīrzā.ī  kī
tujh  se  to  ham  ko  ai  ḳham-e-abru
thī  na  ummīd  kaj-adā.ī  kī
koī  qātil  kī  raah  bhūlā  thā
ai  ajal  tū  ne  rahnumā.ī  kī
dil  kahīñ  aur  ham  ne  aTkāyā
be-vafāoñ  se  bevafā.ī  kī
na  ga.ī  zāhidoñ  ke  paas  kabhī
duḳhtar-e-raz  ne  pārsā.ī  kī
shahr  meñ  jā.egī  mirī  pā-posh
qadr  vaañ  kyā  barahna-pā.ī  kī
saaf  hai  aa.ina  tan-e-pur-nūr
hai  dalīl  us  pe  ḳhud-numā.ī  kī
kāsa-e-māh  kyuuñ  na  ho  pur-nūr
barsoñ  us  kūche  kī  gadā.ī  kī
ka.aba-e-dil  meñ  bhī  maqām  kiyā
ai  buto  tum  ne  kyā  rasā.ī  kī
ḳhat  ke  aane  pe  bhī  mukaddar  hai
sūrat  ab  kaun  sī  safā.ī  kī
bāl-o-par  bhī  ga.e  bahār  ke  saath
ab  to  sūrat  nahīñ  rihā.ī  kī
kis  ke  kūche  kī  raah  bhūlā  huuñ
ḳhizr  ne  bhī  na  rahnumā.ī  kī
shaah  kahlā.e  har  tarah  se  'vazīr'
bādshāhī  na  kī  gadā.ī  kī