maiñ  vahāñ  huuñ  ki  nahīñ  chāhe  to  jā  kar  dekhe
kūza-gar  ḳhud  mirī  miTTī  meñ  samā  kar  dekhe
baad  meñ  rakhe  sarāboñ  ke  dayāroñ  meñ  qadam
pahle  vo  saañs  kī  sarhad  pe  to  aa  kar  dekhe
mire  iz.hār  ko  kuchh  aur  samar-var  kar  de
vo  mujhe  lams  kī  shāḳhoñ  pe  ugā  kar  dekhe
guuñj  uTThe  koī  khoī  huī  duniyā  shāyad
mire  ḳhaliyoñ  meñ  vo  āvāz  lagā  kar  dekhe
dekheñ  phir  raqs  meñ  aate  haiñ  bhañvar  kitne  'riyāz'
koī  paanī  pe  mirā  naam  bahā  kar  dekhe