tāḳhīr  aa  paḌī  jo  badan  ke  zuhūr  meñ
ham  ne  ḳhalā.eñ  ghol  diiñ  bainassutūr  meñ
miTTī  ko  apnī  raat  meñ  tahlīl  kar  diyā
ik  sar-zamīñ  sameT  lī  tāroñ  ke  nuur  meñ
mumkin  hai  tark  hī  kare  vo  hashr  kā  ḳhayāl
dil  kā  sukūt  phūñk  ke  aayā  huuñ  suur  meñ
ik  nuqta-e-ġhayāb  meñ  Dhalne  lage  falak
bhaTkā  huuñ  itnī  duur  bhī  tahtush-shu.ūr  meñ
tajrīd-e-jāñ  kī  ik  na.ī  mantiq  huuñ  maiñ  'riyāz'
poshīda  ho  rahā  huuñ  ḳhud  apne  huzūr  meñ