khīñch  kar  le  jā.egā  anjān  mahvar  kī  taraf
hai  badan  kā  rāsta  bāhar  se  andar  kī  taraf
vo  bhī  apne  saañs  ke  sailāb  meñ  hai  lāpata
jo  mujhe  phailā  gayā  mere  hī  manzar  kī  taraf
ab  ḳhalāoñ  ko  sameTe  har  taraf  hoñ  gāmzan
aaj  hai  merā  safar  apne  hī  paikar  kī  taraf
koī  to  paanī  kī  vīrānī  ko  samjhegā  kabhī
dekhtā  rahtā  huuñ  ab  maiñ  bhī  samundar  kī  taraf
zehn  kī  qabroñ  meñ  phir  se  suur  gūñjā  hai  'riyāz'
tañgi-e-iz.hār  chal  ik  aur  mahshar  kī  taraf