har  ek  ḳhaliya  ko  ā.īna  ghar  banāte  hue
bahut  baTā  huuñ  badan  mo'tabar  banāte  hue
mere  nuzūl  meñ  saat  āsmāñ  kī  gardish  hai
utar  rahā  huuñ  diloñ  meñ  bhañvar  banāte  hue
adam  kī  rag  meñ  jo  ik  lahar  hai  vahīñ  se  kahīñ
guzar  gayā  huuñ  safar  muḳhtasar  banāte  hue
mirī  hathelī  pe  Thahrā  hai  irtiqā  kā  bahāo
jahāñ  kī  ḳhaak  se  apnā  khañDar  banāte  hue
ki  do  jahān  ke  isbāt  maiñ  ne  phūñke  haiñ
tere  sadaf  meñ  nafī  kā  guhar  banāte  hue
jagā.ūñ  kis  ke  manāzir  ufuq  kī  āñkhoñ  meñ
ki  maiñ  hī  ḳhvāb  huā  huuñ  nazar  banāte  hue
'riyāz'  phir  se  bhaTaktā  hai  jugnuoñ  kī  tarah
kisī  kī  raat  meñ  dil  ko  sharar  banāte  hue