Tanha Timmapuri

baat kuchh yun hai ki ye KHauf ka manzar to nahin

Tanha Timmapuri

baat kuchh yuuñ hai ki ye ḳhauf kā manzar to nahīñ
laash dariyā meñ ġhanīmat hai ki be-ghar to nahīñ
duur sahrā-e-badan se nikal aayā huuñ magar
DhūñDhtā huuñ maiñ jise vo mire andar to nahīñ
ḳhvāhisheñ roz na.ī roz na.ī roz na.ī
ye mirā zehn bhī aḳhbār kā daftar to nahīñ
duur tak le ga.ī kyuuñ jumbish-e-añgusht mujhe
maiñ ishāre hī se pheñkā huā patthar to nahīñ
bhasmasur ban ga.ī hai aaj mashīnī duniyā
kaisī dastak hai jagat mohnī dar par to nahīñ
Top Urdushayar.com