Tanha Timmapuri

baat kuchh yun hai ki ye KHauf ka manzar to nahin

Tanha Timmapuri

baat kuchh yuuñ hai ki ye ḳhauf manzar to nahīñ

laash dariyā meñ ġhanīmat hai ki be-ghar to nahīñ

duur sahrā-e-badan se nikal aayā huuñ magar

DhūñDhtā huuñ maiñ jise vo mire andar to nahīñ

ḳhvāhisheñ roz na.ī roz na.ī roz na.ī

ye mirā zehn bhī aḳhbār daftar to nahīñ

duur tak le ga.ī kyuuñ jumbish-e-añgusht mujhe

maiñ ishāre se pheñkā huā patthar to nahīñ

bhasmasur ban ga.ī hai aaj mashīnī duniyā

kaisī dastak hai jagat mohnī dar par to nahīñ

Top Urdushayar.com