Shahzad Anjum Burhani

duniya apni maut jald-az-jald mar jaane ko hai

Shahzad Anjum Burhani

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1986
duniyā apnī maut jald-az-jald mar jaane ko hai
ab ye Dhāñcha aisā lagtā hai bikhar jaane ko hai
ain us dam neshtar le aatī haiñ yādeñ tirī
zaḳhm tanhā.ī kā lagtā hai ki bhar jaane ko hai
jaane vaale aur kuchh din sog karnā hai tirā
zehn-o-dil se phir ye nashsha bhī utar jaane ko hai
vaqt-e-ruḳhsat bad-gumānī terī aisā ghaav thī
rafta rafta ab jo apnā kaam kar jaane ko hai
ham haqīqat-āshnā logoñ se kam milte haiñ log
un ko samjhāo ye shīrāza bikhar jaane ko hai
rut huā badlegī sab gul shāḳh par mar jā.eñge
ab ye mausam ḳhushbuoñ kā par katar jaane ko hai
Top Urdushayar.com