dam-bhar  jo  na  dekhe  tujhe  ai  rashk-e-parī  aañkh
mizhgāñ  kī  zabānoñ  se  kare  nauhagarī  aañkh
jam  jaa.e  tasavvur  jo  tire  buuTe  se  qad  kā
pathrā  ke  bane  saaf  aqīq-e-shajarī  aañkh
le  lījiye  shīshe  haiñ  safed  ashk  nahīñ  haiñ
nam  bāda-kashī  se  ki  ga.ī  shīsha-garī  aañkh
jaao  jo  chaman  ko  to  kare  farsh-e-rah-e-nāz
bulbul  jigar-o-fāḳhta  dil  kabk-e-darī  aañkh
dekhā  jise  bismil  kiyā  taakā  jise  maarā
us  aañkh  se  Dariye  jo  ḳhudā  se  na  Darī  aañkh
jumbish  udhar  us  ko  hai  to  gardish  idhar  is  ko
abrū  hai  ki  shamshīr  sipar  hai  ki  phirī  aañkh
kyā  diid  ke  qābil  tire  kūche  kī  zamīñ  hai
har  gaam  hai  naqsh-e-qadam-e-rah-guzrī  aañkh
tum  jhāñk  rahe  ho  ye  tumheñ  taak  rahā  hai
kyuuñ  dīda-e-rauzan  pe  ajī  tum  ne  dharī  aañkh
kahtī  hī  tirī  nāf-o-shikam  dekh  ke  bulbul
ruḳhsār-e-gul-e-tar  pe  hai  nargis  kī  dharī  aañkh
ai  maah  ye  sab  chashm-e-falak  ke  haiñ  ishāre
aise  to  na  thī  mā.il-e-be-dād-garī  aañkh
nargis  jo  gulistāñ  meñ  hai  to  dasht  meñ  aahū
har  rañg  meñ  dikhlāne  lagī  jalvagarī  aañkh
gad  kā  kahīñ  vo  surma  kā  dumbāla  uThā.e
hai  dast-e-mizha  meñ  liye  putlī  kī  phirī  aañkh
dekhe  vo  agar  chashm-e-siyah  aur  ye  ḳhat-e-sabz
nargis  kī  siyah  aañkh  ho  tuutī  kī  harī  aañkh