chorī  kahīñ  khule  na  nasīm-e-bahār  kī
ḳhush-bū  uḌā  ke  laa.ī  hai  gesū-e-yār  kī
allāh  rakkhe  us  kā  salāmat  ġhurūr-e-husn
āñkhoñ  ko  jis  ne  dī  hai  sazā  intizār  kī
gulshan  meñ  dekh  kar  mire  mast-e-shabāb  ko
sharmā.ī  jaarī  hai  javānī  bahār  kī
ai  mere  dil  ke  chain  mire  dil  kī  raushnī
aa  aur  sub.h  kar  de  shab-e-intizār  kī
jur.at  to  dekhiyegā  nasīm-e-bahār  kī
ye  bhī  balā.eñ  lene  lagī  zulf-e-yār  kī
ai  'hashr'  dekhnā  to  ye  hai  chaudhvīñ  kā  chāñd
yā  āsmāñ  ke  haath  meñ  tasvīr  yaar  kī