Agha Hashr Kashmiri

tum aur fareb khao bayan-e-raqib se

Agha Hashr Kashmiri

Banaras, Uttar pradesh, India

1879-1935
tum aur fareb khaao bayān-e-raqīb se
tum se to kam gila hai ziyāda nasīb se
goyā tumhārī yaad hī merā ilaaj hai
hotā hai pahroñ zikr tumhārā tabīb se
barbād dil kā āḳhirī sarmāya thī umiid
vo bhī to tum ne chhīn liyā mujh ġharīb se
dhundlā chalī nigāh dam-e-vāpsīñ hai ab
aa paas aa ke dekh luuñ tujh ko qarīb se
Top Urdushayar.com