tum  aur  fareb  khaao  bayān-e-raqīb  se
tum  se  to  kam  gila  hai  ziyāda  nasīb  se
goyā  tumhārī  yaad  hī  merā  ilaaj  hai
hotā  hai  pahroñ  zikr  tumhārā  tabīb  se
barbād  dil  kā  āḳhirī  sarmāya  thī  umiid
vo  bhī  to  tum  ne  chhīn  liyā  mujh  ġharīb  se
dhundlā  chalī  nigāh  dam-e-vāpsīñ  hai  ab
aa  paas  aa  ke  dekh  luuñ  tujh  ko  qarīb  se