yaad  meñ  terī  jahāñ  ko  bhūltā  jaatā  huuñ  maiñ
bhūlne  vaale  kabhī  tujh  ko  bhī  yaad  aatā  huuñ  maiñ
ek  dhundlā  sā  tasavvur  hai  ki  dil  bhī  thā  yahāñ
ab  to  siine  meñ  faqat  ik  Tiis  sī  paatā  huuñ  maiñ
o  vafā-nā-āshnā  kab  tak  sunūñ  terā  gila
be-vafā  kahte  haiñ  tujh  ko  aur  sharmātā  huuñ  maiñ
ārzūoñ  kā  shabāb  aur  marg-e-hasrat  haa.e  haa.e
jab  bahār  aa.e  gulistāñ  meñ  to  murjhātā  huuñ  maiñ
'hashr'  merī  sher-goī  hai  faqat  fariyād-e-shauq
apnā  ġham  dil  kī  zabāñ  meñ  dil  ko  samjhātā  huuñ  maiñ