hai  ġhalat  gar  tire  dāñtoñ  ko  kahūñ  taare  haiñ
ki  dahan  mus.haf-e-nātiq  hai  ye  sīpāre  haiñ
apnī  hastī  meñ  to  āsār-e-fanā  saare  haiñ
shaam  ko  zarre  haiñ  aur  sub.h  ko  ham  taare  haiñ
kyā  hī  harjā.ī  hasīnān-e-jahāñ  saare  haiñ
ye  vo  aḳhtar  haiñ  ki  sābit  nahīñ  sayyāre  haiñ
zā.iqa  hoñToñ  kā  badlegā  na  missī  maliye
hoñgī  ye  qand  siyah  ab  to  shakar-pāre  haiñ
bādshāhoñ  kī  tarah  phirte  haiñ  Dañke  dete
ḳhār-e-pā  chob  haiñ  aur  aable  naqqāre  haiñ
chhup  chale  haiñ  ḳhat-e-shab-rañg  se  ruḳhsār-e-sabīh
din  hai  kam  shaam  ke  āsār  ayaañ  saare  haiñ
sāġhar-e-chashm  ke  sau  dene  paḌeñge  bose
shīsha-e-dil  kabhī  toḌā  to  ye  kaffāre  haiñ
ḳhat  pe  ḳhat  roz  bahā  kar  use  pahuñchāte  haiñ
ashk  kaahe  ko  haiñ  ye  Daak  ke  harkāre  haiñ
aab  jaarī  kiyā  e.ajāz  se  ai  bahr-e-karam
uñgliyāñ  kaahe  ko  haiñ  nuur  ke  favvāre  haiñ
mus.haf-e-ruḳh  ko  vo  dikhlā.eñ  agar  tīsoñ  din
na.ī  phabtī  mujhe  sūjhī  kahūñ  sīpāre  haiñ
haath  agar  chhūne  se  jal  jaa.e  yad-e-baizā  ho
la.al-e-lab  us  but-e-kāfir  ke  vo  añgāre  haiñ
rauñgTe  kab  haiñ  in  ā.īnoñ  meñ  haiñ  paḌ  ga.e  baal
haath  zaanū  pe  kabhī  yaar  ne  de  maare  haiñ
pusht  par  hai  jo  sipar  ḳham  hue  ho  teġh  kī  tarah
chaar  phuul  us  ke  tumheñ  phūloñ  ke  pushtāre  haiñ
rū-ba-rū  rahtī  hai  tasvīr-e-tasavvur  shab-o-roz
ab  to  be-minnat-e-ḳhalq  aap  ke  nazzāre  haiñ
dekh  kar  tujh  ko  hasīñ  kaTte  haiñ  bhūle  haiñ  banāv
kañghiyāñ  karte  nahīñ  sar  pe  ravāñ  aare  haiñ
dil  pe  jo  guzrī  ḳhabar  ashkoñ  ne  dī  aa  ke  'vazīr'
lā.eq-e-ḳhil.at-e-rūmāl  ye  harkāre  haiñ