ik  aḳhgar-e-jamāl  farozāñ  ba-shakl-e-dil
pheñkā  idhar  bhī  husn-e-tajalli-nisār  ne
afsurdagī  bhī  husn  hai  tābindagī  bhī  husn
ham  ko  ḳhizāñ  ne  tum  ko  sañvārā  bahār  ne
is  dil  ko  shauq-e-dīd  meñ  taḌpā  ke  kar  diyā
kyā  ustuvār  va.ada-e-nā-ustavār  ne
jalve  kī  bhiik  de  ke  vo  ha.Tne  lage  the  ḳhud
dāman  pakaḌ  liyā  nigah-e-e'tibār  ne
gesū  ġhubār-e-rāh-e-tamannā  se  aT  na  jaa.eñ
sahrā  meñ  aap  nikle  haiñ  ham  ko  pukārne