zuhūr-e-paikrī  sahrā  meñ  hai  sirf  ik  nishāñ  merā
ġhubār-e-kārvāñ  huuñ  duur  niklā  kārvāñ  merā
rasā.ī  marg-e-shauq-uftādgī  nañg-e-tan-āsānī
balā  kī  kashmakash  hai  aur  ġhubār-e-nā-tavāñ  merā
mujhe  ghabrā  ke  dosh-e-hasti-e-jāved  par  pheñkā
koī  dam  bhī  na  uTThā  maut  se  bār-e-girāñ  merā
mire  sāz-e-nafas  kī  ḳhāmushī  par  ruuh  kahtī  hai
na  aa.ī  mujh  ko  niind  aur  so  gayā  afsāna-ḳhvāñ  merā
ḳharābī  ḳhanda-zan  hai  koshish-e-tāmīr  par  merī
qafas  ko  toḌtā  jaatā  hai  shauq-e-āshiyāñ  merā