Zafar Imam

bhale hi aankh meri sari raat jagegi

Zafar Imam

Bettiah, Bihar, India

1963

bhale aañkh mirī saarī raat jāgegī

sajā sajā ke salīqe se ḳhvāb dekhegī

ujālā apne gharauñde meñ rah gayā to raat

kahāñ qayām karegī kahāñ se guzregī

hamārī aañkh samundar khañgālne vaalī

yaqīn hai ki kabhī motiyoñ se khelegī

ḳhud-e'timādī zarā e'tidāl meñ rakhiyo

ulaT ga.ī to vo apnī zabān bhūlegī

suhānī shaam ke mausam meñ kyuuñ udāsī hai

havā udhar se chalī to kahāñ pe Thahregī

kisī anā ko koī maslahat na chhū paa.e

yahī to hai ki mirā e'tibār rakkhegī

tumhāre sar pe fazīlat chhāñv hai sāhib

ḳhatā-muāf tumheñ ye khañDar banā degī

Top Urdushayar.com