gauhar-e-ashk  se  labrez  hai  saarā  dāman
āj-kal  dāman-e-daulat  hai  hamārā  dāman
ai  junūñ  bād-e-bahārī  se  nahīñ  jumbish  meñ
kuchh  garebān  se  kartā  hai  ishārā  dāman
vasl  kī  raat  hai  bigḌo  na  barābar  to  rahe
phaT  gayā  merā  garebān  tumhārā  dāman
jāma-chīn  ne  nahīñ  ye  phuul  chune  nargis  ke
saikḌoñ  āñkhoñ  se  kartā  hai  nazārā  dāman
bahut  ai  dast-e-junūñ  tañg-nazar  aatā  hai
bāñdh  de  dāman-e-sahrā  se  hamārā  dāman
ḳhuub  pahuñchā  diyā  ai  dast-e-junūñ  hāthoñ-hāth
mil  gayā  aaj  garebān  se  saarā  dāman
aamad  aamad  mire  ashkoñ  kī  magar  sun  lī  hai
jhaaḌ  kar  gard  jo  sahrā  ne  sañvārā  dāman