Bedam Shah Warsi

mujhse chhup kar mere armanon ko barbaad na kar

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936

mujh se chhup kar mire armānoñ ko barbād na kar

dād-ḳhvāhī ke liye aayā huuñ bedād na kar

dekh miT jā.egā hastī se guzar jā.egā

dil-e-nā-āqebat-andesh unheñ yaad na kar

aa gayā ab to mujhe lutf-e-asīrī sayyād

zab.h kar Daal magar qaid se āzād na kar

jis pe martā huuñ use dekh to luuñ bhar ke

itnī jaldī mire qatl meñ jallād na kar

aap to zulm lagātār kiye jaate haiñ

mujh se tākīd pe tākīd hai fariyād na kar

jalva dikhlā ke mirā luuT liyā sabr-o-qarār

phir ye kahte haiñ ki nāla-o-fariyād na kar

aap apnī jafāoñ pe pashemān haiñ vo

un ko mahjūb ziyāda dil-e-nāshād na kar

ai sabā kūcha-e-jānāñ meñ paḌā rahne de

ḳhaak ham ḳhāk-nashīnoñ to barbād na kar

ham to jab samjheñ ki haañ dil pe hai qaabū 'bedam'

vo tujhe bhuul ga.e to bhī unheñ yaad na kar

Top Urdushayar.com