tañgī-e-dahan  se  hai  aḌī  baat
chhoTā  sā  hai  muñh  tirā  baḌī  baat
kyā  charb-zabāñ  vo  sho.ala-rū  hai
lab  tak  aa  kar  phisal  paḌī  baat
matlab  par  agar  zabān  do  tum
ho  muñh  se  abhī  nikal  khaḌī  baat
dil  shīsha-e-sā.at  apnā  ban  jaa.e
saaqī  na  kare  jo  do  ghaḌī  baat
haiñ  peT  kī  halkī  vo  sadaf-sāñ
motī  kī  tarah  nikal  paḌī  baat