āshiq-e-zulf-o-ruḳh-e-dildār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
mubtalā-e-kāfir-o-dīñdār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
surḳh  palkeñ  ho  ga.iiñ  ḳhūñ-bār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
dekh  lo  ab  zaḳhm-e-dāman-dār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
dekh  kar  mahv-e-jamāl-e-yār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
jām-hā-e-sharbat-e-dīdār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
aa.iyo  ai  ashk  ab  bahne  lagā  hai  ḳhūn-e-garam
bhejiyo  paanī  ki  ātish-bār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
laḌ  ga.iiñ  tum  se  jo  āñkheñ  ho  ga.ī  ik  baar  sulh
kījiye  do-tīn  bāteñ  chaar  āñkheñ  ho  ga.iiñ
kashtī-e-mai  le  ke  ai  saaqī  pahuñch  bahr-e-ḳhudā
be  tire  mahfil  meñ  dariyā-bār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
hai  tasavvur  bas-ki  āñkhoñ  meñ  ḳhat-e-ruḳhsār  kā
aa.ine  kī  tarah  jauhar-dār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
ai  but-e-kāfir  hai  bas  be-aib  zaat  allāh  kī
lab  tire  iisā  hue  bīmār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
bah  ga.iiñ  palkeñ  ba-rañg-e-ḳhas  mirī  ashkoñ  ke  saath
ab  to  nazroñ  meñ  gul-e-be-ḳhār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
chashm-e-baddūr  in  ko  gardish  hai  ajab  andāz  se
ai  parī  āhū-e-ḳhush-raftār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
mere  paañv  kī  tarah  haihāt  ab  gardish  meñ  haiñ
kis  kī  ye  vārafta-e-raftār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
ain  nādānī  hai  ab  un  se  jo  rakhiye  chashm-dāsht
shakl-e-mizhgāñ  phir  ga.iiñ  bezār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
laḳht-e-dil  yāqūt  meñ  aañsū  haiñ  motī  āb-dār
aao  dekho  jauharī  bāzār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
do  to  haiñ  chashm-e-suḳhan-go  gar  nahīñ  hai  ik  dahan
chup  na  rahiye  qābil-e-guftār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
ishq-e-pinhāñ  dīda-e-giryāñ  ne  zāhir  kar  diyā
hañsne  kī  jā  hai  lab-e-iz.hār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
ablaq-e-chashm-e-sanam  kis  naaz  se  gardish  meñ  hai
ḳhuub  kaave  hote  haiñ  rahvār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
har  kisī  ne  aañkh  jab  Daalī  gulū-e-sāf  par
hañs  ke  farmāyā  gale  kā  haar  āñkheñ  ho  ga.iiñ
tol  lete  haiñ  sadā  nazroñ  meñ  jins-e-husn  ko
palla-e-mīzāñ  mirī  ai  yaar  āñkheñ  ho  ga.iiñ
hai  tasavvur  roz-o-shab  kis  kī  tilā.ī  rañg  kā
chashm-e-nargis  kī  tarah  zardār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
kahte  ho  sab  dekhte  haiñ  terī  āñkhoñ  se  mujhe
sach  kaho  aġhyār  kī  bekār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
chaliye  ab  sahrā  se  kū-e-yār  unheñ  dikhlā.iye
ābloñ  se  paañv  meñ  do-chār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
phuul  nargis  ke  banā.e  kab  vahāñ  me.amār  ne
ye  hamārī  naqsh-bar-dīvār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
ai  ḳhudā  shāhid  hamārā  summa-vaj.hullāh  hai
jab  nigah  kī  but  pe  tujh  se  chaar  āñkheñ  ho  ga.iiñ
aap  sā  in  ko  banāyā  ishq-e-tīr-e-yār  ne
hai  sirī  tār-e-nigah  sūfār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
pesh-e-nargis  haath  phailā.e  haiñ  shāḳhoñ  se  daraḳht
kis  ko  dekheñge  jo  ab  darkār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
chup  khaḌe  haiñ  ban  ga.e  haiñ  naqsh-bar-dīvār  ham
aao  dekho  rauzan-e-dīvār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
sāqī-o-mīnā-o-sāġhar  ek  aate  haiñ  nazar
bāda-e-vahdat  se  kyā  sarshār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
rote  rote  hijr  meñ  suuje  haiñ  ye  chashmān-e-tar
jism  lāġhar  ho  gayā  tayyār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
āshiq-e-abrū  huuñ  karnā  dīda-o-dānista  qatl
jauharoñ  se  tujh  meñ  ai  talvār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
aañkh  ke  Doroñ  ne  tere  kuchh  to  haiñ  dhāge  diye
ai  sanam  jo  mā.il-e-zunnār  āñkheñ  ho  ga.iiñ
phir  gayā  vo  aa  ke  ab  jaage  to  kyā  hāsil  'vazīr'
so  ga.e  jab  baḳht  tab  bedār  āñkheñ  ho  ga.iiñ