Mirza Azfari

Dholaki dham-dhami KHanjri bhi bajaani jaani

Mirza Azfari

Dholakī dham-dhamī ḳhanjrī bhī bajānī jaanī
taan kī jaan magar tum ne na jaanī jaanī
hil ga.e mil ga.e an-jānoñ se juuñ jaan pahchān
par mirī qadr zarī tum na pahchānī jaanī
lag chale jo ki raqīboñ ne lagāyā tum ko
sāñchī aur jhūTī koī baat na chhānī jaanī
jo kahā maiñ ne na tum ne kabhī dhar kaan sunā
baat kyā aisī mirī tum ne divānī jaanī
maan ne terī to maarā hameñ ab to man jā
ye haTelā nahīñ dekhā koī maanī jaanī
jāñ-kanī meñ to zarā aa ke dikhāo dīdār
jaan mar jā.ūñgā kahtā hī maiñ jaanī jaanī
raat din ye jo sulūk ham se kiyā karte ho
dil meñ kyā jāniye kyā tum ne hai Thānī jaanī
sarf kī apnī tire ishq meñ jaanī sab umr
'azfarī' ne na buḌhāpā na javānī jaanī
Top Urdushayar.com