kahāñ  kā  nañg  rahā  aur  aur  kahāñ  rahā  nāmūs
ulajh  ga.ī  jo  mohabbat  meñ  duḳhtar-e-taimūs
mazā  jo  vasl  kā  chāhe  to  bār-e-hijr  uThā
phir  intiqām  ho  āḳhir  ke  ta.iiñ  kanār-o-bos
majāzī  ho  ki  haqīqī  sarīh  ishq  kā  naam
latīf  tohfa  piyārā  ajiib  naam  uruus
mujhe  bhī  ishq  kā  hai  maraz  kyā  karūñ  yaaro
muālaje  se  mire  aajiz  aayā  jālīnūs
dil  hī  meñ  'qāsim-alī'  sham-e-ishq  kar  raushan
bachā  le  bād-e-muḳhālif  se  tan  kā  kar  fānūs