is  arz  ke  taḳhte  par  sansār  hai  aur  maiñ  huuñ
mauhūm  huā  to  kyā  par  yaar  hai  aur  maiñ  huuñ
paḌtī  hai  nazar  jīdhar  vo  yaar  hai  aur  maiñ  huuñ
hai  kaun  sivā  mere  dildār  hai  aur  maiñ  huuñ
maiñ  yaar  kane  qāsid  bhejā  to  hai  par  shāyad
le  naama  agar  aayā  rībār  hai  aur  maiñ  huuñ
moḌūñgā  nahīñ  muñh  ko  maiñ  ishq  ke  maidāñ  se
is  yaar  ke  abrū  kī  talvār  hai  aur  maiñ  huuñ
ab  dekhiye  kyā  nibTe  siina  hai  sipar  apnā
vo  ḳhanjar-e-mizhgāñ  kā  ḳhūñ-ḳhār  hai  aur  maiñ  huuñ
jab  se  ba-sanam-ḳhāna  kī  maiñ  ne  qadam-bosī
sau  tarah  kī  zāhid  se  takrār  hai  aur  maiñ  huuñ
rāhib  ne  mire  qashqa  sandal  kā  lagāyā  hai
nāqūs  hai  ghanTa  hai  zunnār  hai  aur  maiñ  huuñ
naf-o-zarar-e-duniyā  duniyā  hī  pe  maiñ  chhoḌā
ab  ishq  kā  ai  yaaro  bevpār  hai  aur  maiñ  huuñ
hairāñ  maiñ  huuñ  ai  yaaro  kis  vāste  'afrīdī'
rusvā.ī  ba-har  kūcha  bāzār  hai  aur  maiñ  huuñ