pher  roz-e-firāq-e-yār  aayā
nāma-bar  aah  zaar  zaar  aayā
tere  jaane  se  fitna  ho  tayyār
ba-sar-e-chashm  ashk-bār  aayā
jhāḌā  marqad  pe  mere  jab  dāman
āsmāñ  kā  goyā  ġhubār  aayā
mai  se  tauba  to  kar  nahīñ  saktā
kyā  karūñ  mausam-e-bahār  aayā
maarā  jāvegā  bhaag  ai  nāseh
dekh  ye  nāznīñ  savār  aayā
kisī  maḳhlūq  ko  ḳhudā  na  dikhā.e
jo  ki  mujh  par  dar-intizār  aayā
is  kī  bedād  kā  ḳhudā  de  ajr
haath  meñ  le  ke  zul-fiqār  aayā
kahtā  hai  sar  jhukā  jo  āshiq  hai
maiñ  to  ab  mā.il-e-shikār  aayā
'āfrīdī'  samajh  hayāt-e-abad
qatl  ko  tere  gar  vo  yaar  aayā
peshvā.ī  ko  is  kī  jā  jaldī
kah  ki  hāzir  gunāhgār  aayā
tujhe  'qāsim-alī'  ḳhudā  kī  qasam
kaise  zālim  pe  e'tibār  aayā