kuchh  apne  kaam  nahīñ  aave  jām-e-jam  kī  kitāb
kifāyat  apne  ko  bas  ek  apne  ġham  kī  kitāb
nahīñ  ḳhayāl  sivā  us  ke  aur  hai  dil  meñ
jo  maktab  ishq  meñ  jaise  paḌhā  sanam  kī  kitāb
ḳhat  aane  se  nahīñ  ḳhātir  jamā  hue  mutlaq
ise  to  ḳhat  kahūñ  yā  sabza  yā  sitam  kī  kitāb
shab-e-firāq  se  terī  gayā  huuñ  sab  kuchh  bhuul
viqāya  kanz-o-hidāya  sabhī  ilam  kī  kitāb
huā  ba-madrasa-e-ishq  jab  se  tālib-e-ilm
bahut  hai  apne  mutāla  ko  ek  dam  kī  kitāb
na  barhaman  huuñ  na  mullā  na  maulvī  na  atiit
jo  pothī  dair  kī  pān.cho  o  yā  haram  kī  kitāb
kitāb-e-husn  kī  'qāsim-alī'  mutāla  kar
banā.ī  sān.e.a  ne  san.at  se  yak-qalam  kī  kitāb