jo  merā  le  gayā  dil  kaun  vo  insān  hai  kyā  hai
parī  hai  yā  malak  yā  huur  yā  ġhilmān  hai  kyā  hai
nazar  zulfoñ  pe  us  kī  jā  paḌī  jis  kī  lagā  kahne
ye  donoñ  saañp  haiñ  yā  kākul-e-pechān  hai  kyā  hai
gayā  huuñ  bhuul  sab  kuchh  duḳhtar-e-raz  jaise  haath  aa.ī
jigar  hai  jaan  hai  īmān  hai  īqān  hai  kyā  hai
hamāre  yaar  ke  kuchh  darmiyāñ  jo  baat  bol  uTThe
raqīb-e-rū-siyah  ġhammāz  yā  shaitān  hai  kyā  hai
zamīñ  par  jhāñkte  haiñ  roz-o-shab  aflāk  se  kis  ko
mah-o-ḳhur  yā  kisī  kā  dīda-e-hairān  hai  kyā  hai
mire  rone  ko  dekhā  hijr  meñ  jis  ne  so  yuuñ  bolā
jhaḌī  barsāt  kī  yā  mauja-e-tūfān  hai  kyā  hai
ba-josh-e-ishq  laTke  hai  nahīñ  mujh  ko  tamīz  itnī
ba-mizhgāñ  laḳht-e-dil  yā  dur  hai  yā  marjān  hai  kyā  hai
mirī  chhātī  pe  rakh  kar  dast  kī  tashḳhīs  hukamā  ne
ye  siina  kān-e-gandhak  yā  ki  ātish-dān  hai  kyā  hai
jale  siine  se  duud  uTThā  dimāġh  āshufta  kar  Daalā
mukarrar  dil  bhunā  yā  phir  jigar  biryān  hai  kyā  hai
na  bhuul  ai  ḳhizr  mar  jaanā  hai  āḳhir  Tuk  jiyā  to  kyā
agar  mādām  hai  kyā  hai  vagar  yak  aan  hai  kyā  hai
fanā-fishshaiḳh  ho,  tafrīq  'afrīdī'  na  kar  hargiz
nabī  hai  yā  alī  yā  hāfiz-e-qur.ān  hai  kyā  hai