apne  jānān  ko  ai  jaan  isī  jaan  meñ  DhūñDh
DhūñDh  mat  aur  jagah  par  dil-e-hairān  meñ  DhūñDh
DhūñDhnā  us  kā  bahut  sahl  batāyā  hai  faqīr
jaan  meñ  apnī  use  lūñgā  maiñ  ik  aan  meñ  DhūñDh
jis  taraf  dekho  usī  kā  hai  jhamkaḌā  vallāh
tālib  allāh  kā  letā  hai  har  ik  shaan  meñ  DhūñDh
chāhne  vaale  kā  ḳhud  aap  chahītā  hai  vo
mah-e-kan.āñ  ko  liyā  thā  chah-e-kan.ān  meñ  DhūñDh
zāhirā  dekh  suḳhan-fahm  suḳhan  'āfrīdī'
ġhair-maḳhlūq  suḳhan  ma.anī-e-qur.ān  meñ  DhūñDh