misl-e-sarmad  tālib-e-haq-bīñ  agar  sar-dād  daad
dekh  le  mansūr  ne  jī  daar  par  ustād  daad
ishq  hai  ai  dil  kaThin  kuchh  ḳhāna-e-ḳhāla  nahīñ
rakh  dilerāna  qadam  tā  tujh  ko  ho  imdād  daad
ho  nahīñ  saktī  hai  jis  kī  gosh-zad  fariyād  daad
jis  ne  ābādāñ  mere  dil  kā  nagar  barbād  daad
rashk-e-duniyā  hai  kisī  ne  kyuuñ  barā.e  chand  roz
zindagī  apne  ta.iiñ  afsos  yā  mī.ād  daad
kis  se  ho  saktā  hai  jo  is  ne  kiyā  aalam  ke  saath
sūrat-e-ḳhākī  meñ  kaisā  kuchh  dam-e-ījād  daad
ḳhurram-o-ḳhursand  ik  aalam  hai  par  hairāñ  huuñ  maiñ
kyuuñ  mujhe  ḳhātir  hazīñ  ho.e  dil-e-nāshād  daad
'āfrīdī'  us  shikār-andāz  se  kyūñkar  baje
daam  meñ  jis  ke  hai  sab  ḳhilqat  azaañ  sayyād  daad