kyā  faroġh-e-bazm  us  mah-rū  kā  shab  sad-rañg  thā
sham.a  nahiñ  sharminda  aur  mah  dekh  ruḳh  ko  dañg  thā
kyuuñ  na  rakhkhūñ  daaġh  dil  par  jaise  laala  dar-e-chaman
ḳhaal  ġhair-e-fām  us  ruḳhsār  par  gul-rañg  thā
sharmgīñ  āñkhoñ  se  jis  jānib  ko  paḌtī  hai  nazar
nāzukī  shamshīr  se  bismil  pe  arsa  tañg  thā
qatl  meñ  āshiq  ke  shab  ko  kyā  tujhe  tāḳhīr  hai
shor  ġhul  thā  dhuum  thī  aur  izhdihām  āhañg  thā
aah  zaarī  par  kisī  kī  vo  na  kartā  thā  ḳhayāl
gosh-e-zad-āvāz  us  dam  Dholak-o-mirdañg  thā
ho  gayā  mahv-e-tamāshā  ġhair  kī  mahfil  meñ  kyuuñ
ġhair  tere  dil  mirā  jyuuñ  shīsha  vaqf-e-sañg  thā
'āfrīdī'  ishq  ke  baa.is  hayā  jaatī  rahī
kyā  huā  tere  ta.iiñ  da.avā  jo  nām-o-nañg  thā