ye  musht-e-ḳhāk  apne  ko  jahāñ  chāhe  tahāñ  le  jā
par  is  aalam  ko  is  aalam  se  mat  bār-e-garāñ  le  jā
adam  se  jis  tarah  tanhā  chalā  aayā  thā  phir  vaañ  ko
munāsib  hai  isī  sūrat  se  sūrat  chhoḌ  jaañ  le  jā
kudūrat  mā-sivā  kī  dho  le  ḳhātir-ḳhvāh  ḳhātir  se
ba-juz  nām-e-ḳhudā  hamrāh  mat  nām-o-nishāñ  le  jā
azīz-o-aqribā  ne  māl-o-milkiyyat  ba-kār  aave
kisī  kī  dostī  kī  ai  dilā  hasrat  na  vaañ  le  jā
gadā.ī  bādshāhī  bhī  masāvī  vaqt  marne  ke
tayaqqun  kar  suḳhan  merī  par  hargiz  mat  gumāñ  le  jā
isī  duniyā  meñ  duniyā  se  kināra  kar  jo  aaqil  hai
mohabbat  phir  kisī  shai  kī  na  saath  ai  mehrbāñ  le  jā
na  koī  le  gayā  kuchh  aur  na  le  jaave  koī  hargiz
yaqīñ  gor-o-kafan  milne  pe  kyā  tashkīk  haañ  le  jā
ga.ī  bāġh-e-jahāñ  se  ḳhalq  ḳhālī  haath  le  par  tū
bahār-e-zindagī  se  zikr  kā  gul  be-ḳhizāñ  le  jā
bakheḌā  yaañ  kā  yaañ  par  chhoḌ  'afrīdī'  adam  āḳhir
na  ye  dard-o-balā  rañj-o-alam  āh-o-fuġhāñ  le  jā