ishq  kī  koī  agar  siikh  le  gar  mujh  se  tamīz
dīn-duniyā  meñ  huā  apne  parāyoñ  ko  aziiz
yā  ho  shāgird  mirā  yā  mujhe  talmīz  kare
varna  is  kūcha-e-ushshāq  se  kar  jaave  gurez
maktab-e-ishq  se  nā-ḳhvāñda  uThā  jo  mahrūm
dono  aalam  meñ  vo  kuchh  chiiz  nahīñ  hai  nāchīz
mard  kyūñkar  kahūñ  be-ishq  jo  hove  koī
firqa  ushshāq  meñ  us  ke  ta.iiñ  kahte  haiñ  kanīz
maiñ  ne  ustād-e-azal  se  yahī  sīkhā  thā  sabaq
'āfrīdī'  na  kabhī  yaar  kī  chhoḌūñ  dahlīz