fāsiq  jo  agar  āshiq-e-dīvāna  huā  to  kyā
duniyā  ke  matālib  ko  farzāna  huā  to  kyā
ġhaflat  meñ  koī  paḌ  kar  gar  umr  ko  kho  Daale
ba.ad  is  ke  agar  samjhā  phir  syānā  huā  to  kyā
ye  umr  ġhanīmat  hai  jo  dam  ki  guzartā  hai
gar  ḳhāna  huā  to  kyā  vīrāna  huā  to  kyā
nazzāra  to  kar  ai  dil  ho  shaan  meñ  dilbar  kā
gar  bhūkā  jo  Tal  jaave  phir  khānā  huā  to  kyā
de  jaam  talattuf  se  saaqī  ba-lab-e-tishna
dil  pyaas  se  jab  kumlā  paimāna  huā  to  kyā
hai  kaam  sute  matlab  bar  aave  kisī  Dhab  se
ka.aba  jo  huā  to  kyā  but-ḳhāna  huā  to  kyā
jo  mard-e-yagāna  hai  nafs  apne  se  laḌtā  hai
gar  aur  tarah  koī  mardāna  huā  to  kyā
uljhā  hai  ye  dil  pyāre  zulf  apnī  ko  suljhāve
jab  mar  ga.e  jaanī  ham  phir  shāna  huā  to  kyā
mukhḌe  kī  jhamak  sājan  Tuk  ham  ko  bhī  dikhlāo
gar  aage  raqīboñ  ke  jhamkāna  huā  to  kyā
gar  sair  mayassar  ho  tujh  husn  ke  bāġhistāñ
ba.ad  is  ke  agar  mujh  ko  mar  jaanā  huā  to  kyā
dil  apne  begāne  se  kuchh  ham  ne  na  phal  paayā
gar  apnā  huā  to  kyā  begāna  huā  to  kyā
kahtā  thā  maiñ  is  dil  ko  āshiq  to  nahīñ  honā
ab  bas  ke  agar  samjhā  pachhtānā  huā  to  kyā
mastāna  hamesha  raho  ai  āshiq-e-'afrīdī'
be-ishq  agar  koī  mardāna  huā  to  kyā