ai  dil  ab  ishq  kī  lai-goī  aur  chaugān  meñ  aa
be-ḳhatar  Thok  ke  ḳham  jañg  ke  sāmān  meñ  aa
ḳhauf  ġhammāz  raqīboñ  kā  na  kar  kuchh  hargiz
ho  ke  raazī  ba-razā  vaqt  hai  maidān  meñ  aa
fursat  is  vaqt  ġhanīmat  hai  nikal  zulmat  se
suljh  kar  zulf  se  ruḳhsār-e-daraḳhshān  meñ  aa
gul-e-ruḳhsāra  kā  nazzāra  tū  kar  āñkheñ  khol
añgbīñ  chakhne  ko  phir  dil  lab-e-ḳhandān  meñ  aa
ba.ad  us  ke  jo  agar  samjhe  munāsib  ai  dil
qaid  hone  ke  ta.iiñ  chāh-e-zanaḳhdān  meñ  aa
harzā  phirne  se  tire  gosha-nashīnī  behtar
vahm-o-shak  aur  gumāñ  chhoḌ  ke  īqān  meñ  aa
vasl-o-hijrat  ke  ta.iiñ  ek  samajh  'afrīdī'
aql  hai  kuchh  bhī  agar  sohbat-e-rindān  meñ  aa