ham  ne  to  ujaaḌ  aur  bastī  dekhī
duniyā  kī  sabhī  buland  aur  pastī  dekhī
sūrat  pe  ḳhayāl  apnī  aayā  jis  dam
yak  lahza  habāb-vār  pastī  dekhī
kitnoñ  ke  ma.āsh  kī  durustī  dekhī
kitnoñ  kī  ba-ḳhāna  fāqa-mastī  dekhī
duniyā  hai  basān  qahba  ḳhush-dil  ġhamgīñ
rotī  hai  kabhī  kabhī  to  hañstī  dekhī
jis  dast  kī  maiñ  darāz-dastī  dekhī
is  dast  kī  āḳhirash  shikastī  dekhī
jis  ne  bastam  kiyā  makāñ  ko  ta.amīr
dīvār  phir  us  makāñ  kī  khisaktī  dekhī
bā-vasf  ayaañ  hai  lek  ba.azī  ḳhilqat
is  shoḳh  kī  diid  ko  tarastī  dekhī
ye  turfa  hai  mājrā  ki  ka.aba-e-dil  meñ
'āfrīdī'  kī  ham  ne  but-parastī  dekhī