sab  kā  dildār  hai  dildār  bhī  aisā  vaisā
ik  mirā  yaar  hai  aur  yaar  bhī  aisā  vaisā
dushman-e-jāñ  bhī  nahīñ  koī  barābar  us  ke
aur  mirā  hāshiya-bardār  bhī  aisā  vaisā
be-ta.alluq  hī  sahī  us  ko  magar  hai  mujh  se
ik  sarokār  sarokār  bhī  aisā  vaisā
us  kā  lahja  ki  bahut  saada  o  māsūm  sahī
hai  fusūñ-kār  fusūñ-kār  bhī  aisā  vaisā
'zauq'  se  us  ko  aqīdat  hai  ki  allāh  allāh
aur  'ġhālib'  kā  taraf-dār  bhī  aisā  vaisā
kyā  zamāna  thā  ki  jab  ahl-e-havas  ke  nazdīk
koī  meyār  thā  meyār  bhī  aisā  vaisā
maiñ  bhī  tamsīl-nigārī  meñ  bahut  aage  thā
vo  bhī  fankār  thā  fankār  bhī  aisā  vaisā
koī  uftād  paḌī  thī  ki  abhī  tak  chup  thā
ik  suḳhan-kār  suḳhan-kār  bhī  aisā  vaisā
ek  thī  jur.at-e-inkār  ki  aisī  vaisī
ek  darbār  thā  darbār  bhī  aisā  vaisā
jis  kā  shāhoñ  kī  nazar  meñ  koī  kirdār  na  thā
ek  kirdār  thā  kirdār  bhī  aisā  vaisā
ek  isrār  thā  isrār  bhī  bai.at  ke  liye
ek  inkār  thā  inkār  bhī  aisā  vaisā