pārsā  tū  pārsā.ī  par  na  kar  itnā  ġhurūr
maiñ  agar  banda  huuñ  aasī  par  mirā  maulā  ġhafūr
mā-sivā  dīdār  ḳhvāhish  hai  mujhe  kis  chiiz  kī
tū  paḌā  phirtā  hai  jannat  DhūñDhtā  hūr-o-qusūr
maiñ  agarche  riñd  huuñ  to  aap  ko  maiñ  aap  ko
zohd  se  tere  mujhe  matlab  na  kuchh  kār-e-zarūr
tere  ta.iiñ  ġharra  hai  apnī  pārsā.ī  zohd  kā
mere  ta.iiñ  allāh  ke  fazl-o-karam  se  hai  surūr
riñd  ke  mashrab  par  ai  zāhid  tabassum  mat  kare
bhed  us  kā  kuchh  na  pāvegā  tū  hai  ma.anī  se  duur
zaḳhm-e-teġh-e-abrū  sah  jaave  na  tujh  se  bul-havas
ek  sham.a  se  huā  thā  jis  ke  surma  koh-e-tūr
chūtaḌ  uupar  sar  jhukānā  us  ko  tū  samjhā  hai  faḳhr
hai  nahīñ  qābil  tū  fazlullāh  kā  ai  be-shu.ūr
kyā  tujhe  ma.alūm  hai  dair-o-haram  kī  ek  raah
but-parastī  us  jagah  aur  is  jagah  hai  yak  umuur
dam  ġhanīmat  hai  to  har  dam  yaad  meñ  le  dam  ke  ta.iiñ
zikr  daa.im  'āfrīdī'  ho  charāġh-andar-qubūr