abr  saañ  har-chand  rakkhā  chashm  ko  pur-āb  ham
kar  sake  par  kisht  ulfat  kā  nahīñ  shādāb  ham
hijr  kī  ātish  ne  aisā  qurb-e-dil  paidā  kiyā
be-qarārāna  taḌapte  ab  haiñ  juuñ  sīmāb  ham
chhā  ga.iiñ  zulfeñ  kisī  mukhḌe  pe  juuñ  ākās  puuñ
ḳhud-baḳhud  khāte  haiñ  pech-o-tāb  juuñ  lailāb  ham
gard-bād-āsā  paḌe  phirte  haiñ  bāġh-o-rāġh  meñ
maskan-o-māvā  kahāñ  rakhte  haiñ  dar-yak-bāb  ham
dekh  lene  de  tū  apne  kaan  kā  būñdā  hameñ
phir  kahāñ  pāveñge  zālim  ye  dur-e-nāyāb  ham
zindagī  phuslā  ke  laa.ī  yaañ  hazār  afsos  aah
phañs  ga.e  be-tarah  is  duniyā  ke  dar  ḳhullāb  ham
yaañ  hai  fikr-e-ma.īshat  vaañ  hai  andesha  ma.aad
haiñ  ba-girdāb-e-ġham-e-duniyā-e-dūñ  ġharqāb  ham
munkashif  hotī  haqīqat  marg  gar  roz-e-alast
hargiz  ai  dahr  az  adam  karte  nahīñ  peshāb  ham
mat  kar  'afrīdī'  ko  is  maslaḳh  meñ  pāband  āḳhirash
zab.h  ho  jāveñge  tere  haath  ai  qassāb  ham