āshiq-e-soḳhta-dil  ḳhatt-e-sanam  donoñ  ek
jis  tarah  suniye  judā  shādī-o-ġham  donoñ  ek
donoñ  bātin  meñ  agar  ek  haiñ  lekin  koī
āb-o-ātish  nahīñ  rakhtā  hai  baham  donoñ  ek
hai  judā  sajde  kī  jā  hindū  musalmāñ  kī  magar
fahm  vāloñ  ke  ta.iiñ  dair-o-haram  donoñ  ek
kuhl  karte  haiñ  ham  āñkhoñ  meñ  barābar  dono
surma-e-kor  ko  aur  ḳhāk-e-qadam  donoñ  ek
jab  phañsā  zulf  meñ  jā  dil  na  rahā  nañg-o-hayā
taaq  par  rakhiye  vahāñ  nañg-o-sharam  donoñ  ek
bār-e-ġham  hijr  paḌā  sar  pe  kisī  ke  us  dam
ḳhaak  meñ  diije  milā  aql-o-faham  donoñ  ek
evaz-e-hijr  na  luuñ  aish  tamām  aalam  kā
hai  azal  se  mujhe  farmān-e-hakam  donoñ  ek
dil  meñ  armāñ  na  rahā  baaqī  jo  chāhā  so  kiyā
sair  duniyā  kī  bhī  aur  sair-e-adam  donoñ  ek
yaar  āġhosh  meñ  apne  hai  muhayyā  har-dam
bas  hai  ye  mere  ta.iiñ  jāh-o-hasham  donoñ  ek
aarzū  'qāsim-alī'  dil  meñ  nahīñ  kuchh  lekin
chāhiye  apne  ta.iiñ  fazl-o-karam  donoñ  ek