banda-parvar  jo  na  pachhtā.iyegā
banda-ḳhāna  pe  kabhī  ā.iyegā
yaad  kījegā  mohabbat  aglī
ġhair  ke  milne  se  sharmā.iyegā
bosa  dījegā  gale  lag  lag  kar
zyāda  aur  mujh  ko  na  bakvā.iyegā
mere  ġhammāz  ko  apne  dar  se
dhakke  yakbār  to  divā.iyegā
husn  ke  sadqe  mirī  ḳhātir  se
kadar-e-dil  zarā  dhulvā.iyegā
sitam-o-jaur-o-jafā  kā  sheva
chhoḌ  dījegā  na  bal  khā.iyegā
tāqat-o-sabr  tahammul  merā
le  ke  kuchh  aur  hī  farmā.iyegā
zindagī  hijr  meñ  honā  ma.alūm
jī  meñ  aatā  hai  ki  mar  jā.iyegā
zulf  meñ  dil  ko  phañsā  kar  mere
aap  shāne  se  na  suljhā.iyegā
said  matlūb  ho  to  banda  kā  sar
apne  fitrāk  se  laTkā.iyegā
arz  'afrīdī'  kī  kiije  manzūr
aap  tashrīf  idhar  lā.iyegā
gar  na  mānoge  mirī  baat  suno
phir  na  mere  ta.iiñ  samjhā.iyegā
yaañ  pe  mauqūf  hai  kyā  'afrīdī'
muñh  na  phir  hashr  ko  dikhlā.iyegā