mātam-e-rañj-o-alam  ġham  haiñ  baham  chāroñ  ek
sitam-o-jaur-jafā  nāz-o-sanam  chāroñ  ek
jab  aTaktā  hai  jo  dil  kuchh  nahīñ  chhoḌe  baaqī
nañg-o-nāmūs  hayā  aur  sharam  chāroñ  ek
ishq-bāzāñ  ke  ta.iiñ  ishq  meñ  tere  ai  yaar
masjid-o-madrasa-o-dair-o-haram  chāroñ  ek
farq  hargiz  nahīñ  jo  tujh  se  milāve  āñkheñ
tiir  aur  ḳhanjar-o-jamdhar  ke  zaḳham  chāroñ  ek
zulf  juuñ  mār-e-siyah  qad  jo  daraḳht-e-chandan
aaj  dekh  aa.e  haiñ  is  taur  se  ham  chāroñ  ek
yaar  aur  āshiq-o-sāqī-o-sharāb-o-sabza
dekhtā  hai  koī  yak  jaa.e  pe  kam  chāroñ  ek
bhuul  jaate  haiñ  sabhī  bazm  meñ  mah-rūyoñ  kī
aql-o-dānish-o-tamīz  aur  faham  chāroñ  ek
huuñ  tirā  ai  sanamā  is  vaz.a  se  farmāñ-bardār
sārbān-o-nafar-o-banda  ḳhadam  chāroñ  ek
ġhair  vaslat  ke  tire  aur  na  ḳhvāhish  apnī
kyā  talā  nuqra-o-dīnār-o-diram  chāroñ  ek
uTh  gayā  qaum  se  ashrāf  ke  haihāt  afsos
ishrat-o-aish  kahāñ  jāh-o-hasham  chāroñ  ek
raushnā.ī-o-zabāñ  tohfa  kare  qissa  bayāñ
jis  ghaḌī  hote  haiñ  kāġhaz-o-qalam  chāroñ  ek
bhuul  jā  shauq  meñ  vaslat  ke  tū  sab  ko  ai  dil
dozaḳh-o-jannat  o  a.arāf  o  adam  chāroñ  ek
vāste  tere  muqarrar  haiñ  dil  andesha  na  kar
mehrbānī-o-atā  fazl-o-karam  chāroñ  ek
hai  shujā.at  va  saḳhā  hilm-o-hayā  'qāsim-alī'
shaan  meñ  sher-e-ḳhudā  ke  haiñ  ḳhatam  chāroñ  ek