Nasir Amrohvi

meri bala se sari duniya ujDe ya aabaad rahe

Nasir Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1985

merī balā se saarī duniyā ujḌe ābād rahe

terī ḳhushbū jis meñ basī hai vo kamra ābād rahe

āshiq aur māshūq rishta aur ziyāda puḳhta ho

tere zulm-o-jaur salāmat dil merā ābād rahe

mere ghar dīvāroñ par barbādī qabza hai

terī galī ko jaane vaalā har rasta ābād rahe

sub.h savere ḳhvāb meñ dekhā mujh se koī ye kahtā thā

ik barbād rahe aur jag saarā ābād rahe

ilm-o-hunar markaz hai aur shahr hai 'jaun'-o-'nāsir'

jab tak chāñd sitāre chamkeñ amroha ābād rahe

Top Urdushayar.com