kuchh  aise  zaḳhm-e-zamāna  kā  indimāl  kiyā
kabhī  namāz  paḌhī  aur  kabhī  dhamāl  kiyā
lagā.ī  zarb-e-shadīd  apne  dil  pe  mastī  meñ
ḳhudā  se  TuuTā  huā  rābta  bahāl  kiyā
usī  kī  baat  likhī  chāhe  kam  likhī  ham  ne
usī  kā  zikr  kiyā  chāhe  ḳhāl-ḳhāl  kiyā
lo  ham  ne  Dhaal  liyā  ḳhud  ko  us  ke  paikar  meñ
lo  ham  ne  hijr  ke  arse  ko  bhī  visāl  kiyā
tumhāre  hijr  meñ  marnā  thā  kaun  sā  mushkil
tumhāre  hijr  meñ  zinda  haiñ  ye  kamāl  kiyā