nafas  kī  āmad-o-shud  ko  vabāl  kar  ke  bhī
vo  ḳhush  nahīñ  hai  hamārā  ye  haal  kar  ke  bhī
ajab  thā  nashsha-e-vāraftagī-e-vasl  use
vo  tāza-dam  rahā  mujh  ko  niDhāl  kar  ke  bhī
hameñ  aziiz  hamesha  rahī  hai  nisbat-e-ḳhāk
ye  sar  jhukā  rahā  kasb-e-kamāl  kar  ke  bhī
lo  ham  na  kahte  the  ham  ko  nahīñ  umīd-e-javāb
lo  ham  ne  dekh  liyā  hai  savāl  kar  ke  bhī
ye  ek  umr  purānī  sharāb  hai  yaaro
ḳhumār-e-hijr  rahegā  visāl  kar  ke  bhī
usī  ke  naam  kā  sajda  kiyā  musalle  par
usī  kā  zikr  kiyā  hai  dhamāl  kar  ke  bhī
sharāb  dāna-e-añgūr  se  barābar  khīñch
par  ek  kuuza  kashīd-e-ḳhayāl  kar  ke  bhī