hālat-e-harf  kis  ne  jaanī  hai
ye  jahāñ  ḳhūgar-e-ma.ānī  hai
kyā  lage  qīmat-e-qabā-e-suḳhan
ye  na.ī  ho  ke  bhī  purānī  hai
ek  duniyā  thii,  jis  ke  malbe  se
ek  duniyā  mujhe  banānī  hai
raah  meñ  hai  badan  kī  ik  dīvār
jo  mujhe  nāḳhunoñ  se  Dhānī  hai
ye  jahāñ  raqs  meñ  nahīñ  yūñhī
sab  mire  ḳhuun  kī  ravānī  hai
aur  kuchh  din  hai  ye  fareb-e-visāl
aur  kuchh  din  ye  ḳhush-gumānī  hai
surḳh  ho  ai  mirī  qamīz-e-safed
apnī  qīmat  mujhe  baḌhānī  hai
haañ  tabī.at  to  Thiik  hai  merī
ik  zarā  rañj-e-rā.egānī  hai